Kya Yeh Bambai Hai (1959)
Director: Nanubhai Vakil; Cast: Nishi, Maruti, W.M. Khan, Munshi Munakka, Tun Tun, Jeevan Kala, Meena, Burhan, M. Kumar, Razzaq, Khurshid, Gowli, Parshia, Govind, Desai, Roshan
Duration: 02:07:11; Aspect Ratio: 1.334:1; Hue: 105.986; Saturation: 0.060; Lightness: 0.404; Volume: 0.240; Cuts per Minute: 14.371

Bombay shehar ka bada naam hein,
par gadbad khotale ka har kaam hain.
Andhon ko sujhe badi door ki, aankh walo ko nahi milta raasta.
Sunta koi nahi majboor ki, kisi ko kissi se nahi vasta.
Suno bhaiya mera yeh pegam hain.
Bombay shehar ka bada naam hein.
Yeh Bombay shehar ka bada naam hein.
Aalo ko bole batata yahan, namaste ko kehte hai tata yahan.
Amrud peru aur anda hai baida yahan.
Yahan par hue hai naye naam paida.
Yeh jisko bulaye kare sish-sish.
Hairat ka yarron har ik kaam hain.
Bombay shehar ka bada naam hein.
Yeh Bombay shehar ka bada naam hein.
Kahin Raj Bhaiya, Kahin Baby Nanda.
Satte ke malik ka filmo ka dhanda.
Jo lag yaye number to ban jaye banda.
Jo number na aye to mango ge chanda.
Zara bachke rehna suno mera kehna, agar meri maano to bura kaam hein.
Bombay shehar ka bada naam hein.
Yeh Bombay shehar ka bada naam hein.
Bijli se chalti yahan gadiya, Tramo Buso ka ajab ssa he khel.
Jo kismet se inme jagah mil bhi jaye, to dhake pe dhaka nikal jaye tel.
Badi bheed hai bada shor hein, magar car walon ko aaram hein.
Bombay shehar ka bada naam hein, Yeh Bombay shehar ka bada naam hein.
Yeh Worli ka naka, Yeh Dadar ka circle, Yahan kha jaye tumhe ek latka.
Jawanoo ki tole- haseeno ki hulchul, nahi hein sarfiron ko koi bhi khatka.
Jo naadan hein woh heran hain, jo hushaar hai woh nakaam hein.
Bombay shehar ka bada naam hein, yeh Bombay shehar ka bada naam hein.
Jahan dekhta hun-jidhar dekhta hun, mein ladki ko ladka bana dekhta hun.
Hein mere bhagwan mein kya dekhta hun, zamane ki ulti ada dehkta hun.
Yeh bharat ki beti haya kho ke baithi, ab inko bachana tera kaam hein.
Bombay shehar ka bda naam hai, yeh Bombay shehar ka bada naam hein.
bombay songs
ppf
Indiancine.ma requires JavaScript.